Mammay (Breast) Kese hote hain?

Auraton ke mammon (breasts) ko lekar kabhi kabhi log bade pareshaan ho jaate hain… sirf mard hi nahi auratein khud bhi pareshan ho jaati hain. Kyunki aami88 aur SARFAROSH ke threads mein jaise mammay nazar aate hain, vaise un ladkiyon ke nahi hotay jo apne saath fansti hain. Ye saala chakker kya hai?



Chakker dost ye hai ki aksar tasveerein poora sach bayaan nahi kar paati hain. Mammon ke bhi kuch bade dilchasp raaz hain. Jaise,

1. Left waala mamma (breast) aksar thoda barra hota hai. Jee, haan dono mammon ke size alag hote hain. Yahan tak ki dono nipples ke size aur unke directions bhi alag alag hote hain. Ye farq bahot maamooli hota hai aur isliye tasveeron mein pataa nahi chalta. Aapki biwi ya girlfriend ke thode chotay-bade hain to ghabraane ki zaroorat nahi hai.

2. Mammon ka jo areola (nipples ke ird-gird waala dark color ka gola) hota hai, us par baal hote hain. Jee haan, har aurat ke hote hain. Sunny Leone ke bhi honge. Ladke aksar ye baal kareeb se dekh kar ghabra jaate hain. Par ye qudrati cheez hai. Har aurat ke areola par 2 se 15 tak seedhe khade baal hote hain. Jitne kaale aapke sar ke baal hain, utne hi kaale aapke nipples ke bhi baal honge. Aur chehre ki tarah mammon par bhi munhaase (pimples) nikal aate hain. Lihaza thode care ki zaroorat hoti hai.

3. Har mamme ka average wazan aadha kilo hota hai. Umr ke saath aurat ke mammon ka wazan bhi badta hai. Yahan ek dilchasp baat ye hai ki jo ladkiya smoke (cigerette) karti hain unke mammay jaldi dheele parr jaate hain… latak jaate hain.

4. Abhi duniya bhar mein 20 lakh auraton ke fake breasts hain. Matlab unhone apne mammon mein silicon bharvakar unhe barra kiya hai. For example, Pamela Anderson. Isliye doston aur saheliyon porn film waaliyon ko dekhkar apne maal par maayoos na ho. Asli asli hota hai aur naqli naqli.

5. Aurat jab sexually excited hoti hai to uske mammay sakht ho jaate hain.

6. Mammon ko zyada uchhal kood pasand nahi aati. Matlab jab aap jogging ya exercise vagerah kar rahi hain to tight bra pehen ke kiya karein. Nahi to mammon mein dard to hoga hi, saath saath unki shape bhi bigad sakti hai.

7. Mammon ki shape bigadne ki jahan tak baat hai to ek aur badi dilchasp baat hai. Pet ke bal sone se bhi kabhi kabhi mammon ki shape bigad jaati hai. Best sleeping position hai, ek side mein karvat lekar sona.

Iske alaava mammon par koi aur dilchasp baat aapko pataa chale ya aapne kabhi suni ho to yahan share kijiye. Aapki tavajjo aur waqt ka dil se shukriya.

Boht zabardast information hai janaab Mammon ke baray main. Main isi main kuch aur add karna chahon ga.
Mere khayaal ke mutabiq larki ki tamam jismani saakht, jis main Mammay bhi shamil hain, uss ko walidain ki taraf se wirasat ke taur pe milti hai. Agar aap aise khandanon ka mushahida karain jahan shadiyan khandan ke andar hi karne ka riwaj hai, to aap wazeh taur pe dekhain gay keh uss khandan ki takam aurton ke mammon ki banawat aik jaisi hi hai. Na sirf mammon ki balkeh face ki, aur baqi body ki banawat bhi aik jaisi hi hoti hai. Lekin jin khandanon main family se bahir shadi ka rujhan mojood ho, wahan aik hi khandan ki mukhtalif khawateen main jismani sakht mukhtalif hosakti hai.
Mammon ki shape to warasat main mil gai magar unn ki sakht ko qaim rakhna, dhalakne se bachana aur khoobsoorti peda karna larki ke apne oopar hota hai. Agar larki thora boht exercise karne ki aadi hai, jaise walk, badminton, aur sab se barh kar ghar ke kaam kaaj, to aisi larki apne mammon ki khoobsoorti boht lambe arsay tak qaim rakh sakti hai. Magar yeh boht zaroori baat hai keh tamam jismani mushaqqat ke doran mammay achay brazier main qaid rahain. Iss ke ilawa, mammon ke muscles aur gosht choonkeh boht soft hotay hain, aur inn ko firm rakhna bhi zaroori hai, lehaza iss maqsad ke lye proper nutrition lena boht zaroori hai jis main calcium bunyadi cheez hai.
Har jism ki saakht aisi nahin hoti jis pe barray mammay khoobsoorat nazar ayen. Kuch jism aise hotay hain jin pe chotay chotay mammah hi khoobsoorat lagtay hain, aise jism par agar mammay baray hon to woh na sirf bad-numa lagain gay balkeh aisay mammay baray hone par dhalak bhi jayen gay. Magar kuch jism waqai aise hotay hain jin main khoobsoorti baray mammay hi peda kar sakte hain.
Iss lye qudrati taur pe jo mammay kisi bhi jism pe hotay hain, unn ki hi hifazat karne ki koshish karni chahye, Kuch tabdeeliyan utni mufeed nahin sabit hoti jitni unn se tawaqqo ki jati hai.

Comments